sochā thā tum ne dirham-o-dīnār deñge log
sar kaaT deñge phir tumheñ dastār deñge log
iflās-o-tañg-dastī kā e.ajāz ye bhī hai
māñgoge gar qalam tumheñ hathiyār deñge log
pahle-pahal to vasl kī lazzat milegī aur
phir umr bhar ko hijr kā āzār deñge log
mujrim rihā hue haiñ to ma.asūm qaid haiñ
kis ko ḳhabar thī aisī bhī sarkār deñge log
sach bolnā hai jurm ye taslīm hai magar
ik jurm kī sazā mujhe sau baar deñge log
bolūñ agar maiñ jhuuT to mar jā.egā zamīr
kah duuñ agar maiñ sach to mujhe maar deñge log
maiñ hī karūñgā shahr kī miTTī ko suraḳh-rū
mere hī ḳhuuñ se chhāp ke aḳhbār deñge log