kis zabāñ se shikva-e-jaur-e-sitam-ārā kareñ
jis ko achchhā kah chuke us kī burā.ī kyā kareñ
un se jab pūchhā gayā bismil tumhāre kyā kareñ
hañs ke bole zaḳhm-e-dil dekhā kareñ royā kareñ
ho ke ġhash jalve se naql-e-hazrat-e-mūsā kareñ
aap agar parda uThā bhī deñ to ham pardā kareñ
husn se va.ada-ḳhilāfī ishq se taubā kareñ
diin ke bhī hoñ bure duniyā ko bhī rusvā kareñ
kam se kam aisī to kuchh tadbīr kar ai jazb-e-ishq
vo hameñ dekheñ na dekheñ ham unheñ dekhā kareñ
ik zamāna ho rahā hai ishq meñ ham se ḳhilāf
kis ke kis ke dil meñ dil Dāleñ ilāhī kyā kareñ
har taraf zindāñ kī dīvāroñ pe hai tasvīr-e-dost
ab jidhar chāheñ asīrān-e-sitam sajda kareñ
vaah kyā achchhā taqāzā vaah kyā insāf hai
dard to deñ aap aur tāsīr ham paidā kareñ
hazrat-e-'manzar' nahīñ haiñ vā.izo is rañg ke
aaj mai-ḳhvārī kareñ kal baiTh kar taubā kareñ