aa.heñ bhareñge ham kabhī naala kareñge ham
jab tak na boliyegā pukārā kareñge ham
duniyā ko diin diin ko duniyā kareñge ham
tere baneñge ham tujhe apnā kareñge ham
kuchh hai to yādgār-e-mohabbat yahī sahī
vo chhoḌ deñ sitam bhī to phir kyā kareñge ham
da.ave baḌe haiñ tum ko javānī kī niiñd par
achchhā to aaj raat ko naalā kareñge ham
dil aisā saath khelā huā dost aur daġhā
ab kyā kisī pe ḳhaak bharosā kareñge ham
phir tālibān-e-dīd ko āñkheñ fuzūl deñ
jab aap jānñe the ki pardā kareñge ham
tinke chune kabhī to kabhī ḳhaak uḌaa.ī hai
'manzar' na jaane aur abhī kyā kareñge ham