iid kā din huā kartī thī har ik raat mujhe
haa.e vo vaqt ki raas aatī thī barsāt mujhe
kuchh bhī ho tauba mohabbat se na hogī vaa.iz
jān-o-dil donoñ se pyārī hai mirī baat mujhe
jagmagātī tirī āñkhoñ kī qasam furqat meñ
baḌe dukh detī hai ye tāroñ bharī raat mujhe
dil ne un ko bhī kiyā chashm-e-muravvat ke supurd
aap se the bhī jo kuchh shikva shikāyāt mujhe
dukh bharā huuñ mire nāloñ se hazar kar nāseh
burī ma.alūm na ho jaa.e koī baat mujhe
jitne din ziist ke baaqī haiñ nichhāvar kar duuñ
phir jo mil jaa.e javānī kī koī raat mujhe
abr-e-bārāñ ke maze lūTūñ maiñ kyūñkar 'manzar'
dam bhī lene de mirī āñkhoñ kī barsāt mujhe