Mahesh Janib

taqsim tum mutabiq-e-mehnat na kar sake

Mahesh Janib

1952
taqsīm tum mutābiq-e-mehnat na kar sake
taslīm ham mutābiq-e-qismat na kar sake
jin ko talāsh manzil-e-isnāniyat kī thī
gumrāh un ko ahl-e-siyāsat na kar sake
tujh pe ki jūThe haiñ ye sabhī lafz ḳhalq ke
ham faash apnī paak mohabbat na kar sake
ham āri.iyoñ se unko bachāte rahe magar
vo āñdhiyoñ se apnī hifāzat na kar sake
ik lau hue ḳhayāl to kuchh raushnī huī
jab tak sharar the chāra-e-zulmat na kar sake
tūfān zalzala kabhī sailāb aa gayā
pur-amn to ḳhudā bhī hukūmat na kar sake
samjhā ki tum bhī dekh lo 'jānib' jahān ko
vaise ye kaam iisā se hazrat na kar sake
Top Urdushayar.com