Mahesh Janib

muqarrar waqt se pahle samajhdari nahin aati

Mahesh Janib

1952
muqarrar vaqt se pahle samajhdārī nahīñ aatī
na aanī ho kisī ko gar to fankārī nahīñ aatī
jhukānā sīkhnā paḌtā hai sar logoñ ke qadmoñ meñ
yūñhī jamhūriyat meñ haath sardārī nahīñ aatī
chalāte haiñ agar talvār ye to kyā ta.ajjub hai
kareñge aur kyā jin ko qalam-kārī nahīñ aatī
siyāsī āñdhiyoñ se aag lagnī ġhair-mumkin thī
kahīñ se uḌ ke maz.hab kī jo chiñgārī nahīñ aatī
kyuuñ baḌhtī jā rahī hai bhuuk daulat kī zamāne meñ
tabīboñ kī samajh ik ye bhī bīmārī nahīñ aatī
sabhī se ham adab se aur hañs ke baat karte haiñ
hameñ is se ziyāda bas adākārī nahīñ aatī
bujhānā bhuul jaa.eñ kaise jaltī battiyāñ ghar kī
hamāre ghar ai hākim bijlī sarkārī nahīñ aatī
tirī bebākiyāñ 'jānib' yahī tasdīq kartī haiñ
har ik insān ko duniyā meñ hushyārī nahīñ aatī
Top Urdushayar.com