Mahesh Janib

ho raha hai kya jahan mein ek nazar mat dekhiye

Mahesh Janib

1952
ho rahā hai kyā jahāñ meñ ik nazar mat dekhiye
pahle panne par hai jo bas vo ḳhabar mat dekhiye
duniyā ko tabdīl karne ke haiñ is meñ ḳhvāb bas
inqilābī huuñ mirā raḳht-e-safar mat dekhiye
pyaar se bigḌe bhī haiñ kuchh log ye maanā magar
ho davā lāzim to is ke bad-asar mat dekhiye
kyā ujaḌtā jā rahā hai is pe bhī rakkheñ nazar
sirf baste iiñT patthar ke nagar mat dekhiye
dekhnā hai ye ki bilkul Thiik ho apnī dishā
kitnī bhī chāhe ho pur-ḳham rahguzar mat dekhiye
sharm se mar jāoge insān haiñ gar aap ik
kis tarah karte haiñ ye muflis guzar mat dekhiye
chāhe ruk jaao kahīñ bhī taan do tambū kahīñ
pīchhe muḌ muḌ kar kabhī 'jānib' magar mat dekhiye
Top Urdushayar.com