Mahesh Janib

ahmaq nahin ki samjhen bura waqt Tal gaya

Mahesh Janib

1952
ahmaq nahīñ ki samjheñ burā vaqt Tal gayā
kuchh roz ke liye jo ye mausam badal gayā
yak-laḳht hañste log ye barham kyuuñ ho ga.e
shāyad mirī zabān se kuchh sach nikal gayā
raazī the ham to jaan bhī dene ke vāste
kam-zarf le ke dil hī hamārā machal gayā
kyā bolne ke hak kā uThā.egā fā.eda
jo bhuuk meñ zabān hī apnī nigal gayā
māñgegā jā.edād meñ hissa ye ek roz
filhāl chāhe le ke khilaune bahal gayā
ehsānmand chāhe hamārā na ho koī
par ham gire to saarā zamāna sambhal gayā
kāñToñ pe ehtiyāt se chaltā thā aadmī
in chamchamāte farshoñ pe 'jānib' phisal gayā
Top Urdushayar.com