dhuup utrī hai na rāhoñ meñ ghanā saaya hai
ab tire ba.ad tire shahr meñ kyā rakhā hai
yuuñ to tanhā.ī kā ehsās azal se hai hameñ
kuchh dinoñ se to dil-e-zār bahut tanhā hai
chāñdnī hū kā samāñ ek chhanāke kī sadā
jhiil kā aa.ina kyā pichhle pahar TuuTā hai
ratjage aise manā.e haiñ ki jī jāntā hai
jām-e-mahtāb ko āñkhoñ ne bahut chūmā hai
dil-e-mizrāb kī dhaḌkan hai abhī merā vajūd
tū ne vo naġhma sunā kab hai jo nā-paidā hai
maqtal-e-shahr meñ sar haiñ ki salīboñ ke hujūm
ḳhuuñ kā dariyā hai ki tā-hadd-e-nazar Thahrā hai
zindagī ret ke Tiile kī tarah hai 'ḳhāvar'
aarzū jaise koī āhū-e-be-parvā hai