hasratoñ meñ ab ye ik hasrat hamāre dil meñ hai
itnā kah diije ki be-chāra baḌī mushkil meñ hai
ek muusā the ki in kā zikr har mahfil meñ hai
aur ik maiñ huuñ ki ab tak mere dil kī dil meñ hai
aaj kyuuñ had se sivā uljhan hamāre dil meñ hai
kyā nasīb-e-dushmanāñ vo bhī kisī mushkil meñ hai
hai koī aisā jo saaqī se kahe mere liye
ye bhī ik allāh kā banda tirī mahfil meñ hai
yā ilāhī ḳhair yuuñ hamdardiyāñ hotī haiñ aaj
jaise mere dil kā saarā dard unhīñ ke dil meñ hai
dekhnā ye hai un āñkhoñ meñ samā jaatā hai kaun
yuuñ to hone ko zamāna bhar tirī mahfil meñ hai
dekhiye kis ke muqaddar meñ likhī hai ye bahār
aaj to ik haar phūloñ kā kaf-e-qātil meñ hai
dekhiye to apne vahshī kī tasavvur meñ ḳhushī
ghar meñ tanhā hai magar jaise bharī mahfil meñ hai
hai mohabbat koī bīmārī to bīmārī qubūl
haa.e 'manzar' kis maze kā dard apne dil meñ hai