ham tire bande hamārā tū ḳhudā-vand-e-karīm
dast-e-qudrat meñ tire donoñ-jahāñ kī tanzīm
bin tire hukm kī patta nahīñ hiltā hargiz
izn se tere hī chaltī hai zamāne meñ nasīm
tujh se poshīda nahīñ raaz kisī kā koī
ki tirī zaat hai asrār-e-nihānī kī aliim
kar diye 'barq'-e-tajallī ne magar hausle past
tum ko vallāh baḌī duur kī sūjhī thī kalīm