jo bū-e-zindagī mujhe kiran kiran se aa.ī hai
haqīqatan vo aap hī ke pairahan se aa.ī hai
hamāre jism o ruuh ko surūr de ga.ī vahī
nasīm-e-ḳhush-gavār jo tire badan se aa.ī hai
ye kaun shaḳhs mar gayā ye kis kā hai kafan kaho?
ki zindagī kī bū mujhe isī kafan se aa.ī hai
tarīqat-e-nabard meñ hamārā silsila hai aur!
ye ḳhud-kushī kī rasm-e-bad to kohkan se aa.ī hai
kalī to phir kalī huī mahak uThe haiñ ḳhaar bhī
maiñ jāntā huuñ ye nasīm kis chaman se aa.ī hai
khule rakhe haiñ maiñ ne saare rañg-o-bū ke rāste
mire chaman kī ye phaban chaman chaman se aa.ī hai
maiñ 'sābir'-e-suḳhan-tarāz kyuuñ kisī ko dosh duuñ
ki mere sar pe har balā mire suḳhan se aa.ī hai