Sabir Afaqi

kisi zalim ki jite-ji sana-KHwani nahin hogi

Sabir Afaqi

1933
kisī zālim kī jīte-jī sanā-ḳhvānī nahīñ hogī
ki daanā ho ke mujh se aisī nādānī nahīñ hogī
dil-e-ābād kā sā koī shahr ābād kyā hogā
dil-e-vīrān kī sī koī vīrānī kahāñ hogī
adū se kyā gila karnā ki vo ma.azūr lagtā hai
hamārī qadr-o-qīmat us ne pahchānī nahīñ hogī
nujūmī meñ nahīñ lekin ye andāze se kahtā huuñ
mohabbat to rahegī par ye arzānī nahīñ hogī
ilāj-e-asl hai ik āzmūda nusḳha duniyā meñ
pareshāñ tum rahoge to pareshānī nahīñ hogī
khulā darvāza rakh chhoḌā hai jab jī chāhe aa jaanā
ajī ab ham se apne ghar kī darbānī nahīñ hogī
na tum aa.e to 'sābir' kyā maza aa.egā mahfil meñ
ġhazal-ḳhvānī to hogī par gul-afshānī nahīñ hogī
Top Urdushayar.com