Aal-e-Raza Raza

allah nazar koi Thikana nahin aata

Aal-e-Raza Raza

Unnao, Uttar pradesh, India

1896-1978
allāh nazar koī Thikāna nahīñ aatā
aane ko chale aate haiñ jaanā nahīñ aatā
kah duuñ to maze par ye fasāna nahīñ aatā
Thahrūñ to palaT kar ye zamāna nahīñ aatā
yuuñ roz huā karte the be-sāḳhta chakkar
ab aaj bulāyā hai to jaanā nahīñ aatā
tadbīr sī tadbīr duāoñ sī duā.eñ
sab aatā hai taqdīr banānā nahīñ aatā
Top Urdushayar.com