hamīñ ne un kī taraf se manā liyā dil ko
vo karte uzr to ye aur bhī garāñ hotā
samajh to ye ki na samjhe ḳhud apnā rañg-e-junūñ
mizāj ye ki zamāna mizāj-dāñ hotā
bharī bahār ke din haiñ ḳhayāl aa hī gayā
ujaḌ na jāatā to phūloñ meñ āshiyāñ hotā
dimāġh arsh pe hai tere dar kī Thokar se
nasīb hotā jo sajda to maiñ kahāñ hotā