kuchh is andāz se māñgā gayā dil
ḳhushāmad kar ke de denā paḌā dil
are dil ai mere dil be-vafā dil
to kyā māñgūñ ḳhudā se dūsrā dil
gile shikvoñ kī kar liije safā.ī
burā kyuuñ kījiye achchhā bhalā dil
hue ḳhāmosh to rulvā ke chhoḌā
agar kī baat to barmā diyā dil
mujhe to baḳhshiye aur jiine diije
mubārak aap hī ko aap kā dil
vo maqtal hī sahī mahfil kisī kī
magar kab māntā hai manchalā dil
na kahne degī ye chashm-e-muravvat
na pūchhe ham se koī kyā huā dil
phir ab kaahe kī hai sāhib-salāmat
tumheñ darkār thā dil de diyā dil
badoñ se bhī nahīñ karte burā.ī
ham aisā sab ko de 'manzar' ḳhudā dil