qismat meñ ḳhushī jitnī thī huī aur ġham bhī hai jitnā honā hai
ghar phūñk tamāshā dekh chuke ab jañgal jañgal ronā hai
hastī ke bhayānak nazzāre saath apne chale haiñ duniyā se
ye ḳhvāb-e-pareshāñ aur ham ko tā-sub.h-e-qayāmat sonā hai
dam hai ki hai ukhḌā ukhḌā sā aur vo bhī nahīñ aa chukte haiñ
qismat meñ ho marnā yā jiinā ab ho bhī chuke jo honā hai
dil hī to hai āḳhir bhar aayā tum chīñ-ba-jabīñ kyuuñ hote ho
ham tum ko bhalā kuchh kahte haiñ taqdīr kā apnī ronā hai
ġham kaahe kā yaaro mātam kyā badloge nizām-e-ālam kyā
marnā thā 'razā' ko martā hai ye kaahe kā ronā dhonā hai