phal jaa.e mohabbat to mohabbat hai mohabbat
aur raas na aa.e to musībat hai mohabbat
sarmāya-e-dīvana-e-ulfat hai mohabbat
ai ulTe hue dil tirī qīmat hai mohabbat
hai ham hī talak ḳhair ġhanīmat hai mohabbat
ho jaa.e unheñ bhī to qayāmat hai mohabbat
ro ro ke vo pochheñge mirī aañkh se aañsū
ā.eñge vo din bhī jo salāmat hai mohabbat
badnām kiyā laakh tujhe ḳhud-ġharazoñ ne
phir bhī tirī duniyā ko zarūrat hai mohabbat
duniyā kahe kuchh hai magar īmān kī ye baat
hone kī tarah ho to ibādat hai mohabbat
hai jin se un āñkhoñ kī qasam khātā huuñ 'manzar'
mere liye parvāna-e-jannat hai mohabbat