ġhāza to tirā utar gayā thā
maiñ dekh ke ḳhud ko Dar gayā thā
is shahr meñ rāste kā patthar
maiñ jañgaloñ se guzar gayā thā
tahrīr-e-jabīñ miTī huī thī
taqdīr kā zaḳhm bhar gayā thā
be-nūr thī jhiil bhī kañval se
sūraj bhī ḳhalā meñ mar gayā thā
ehsās shabāb ġham mohabbat
ek ek nasha utar gayā thā
dil ko vo sukūñ milā tire paas
jaise maiñ nagar nagar gayā thā
kyā chiiz thī bād-e-sub.h-gāhī
rū-e-gul-e-tar nikhar gayā thā
hamrāh the an-ginat zamāne
maiñ dasht se apne ghar gayā thā
nazroñ kā milāp kaun bhūle
ik sāneha sā guzar gayā thā
iqrār-e-vafā kiyā thā us ne
maiñ fart-e-ḳhushī se mar gayā thā
'siddīq' chalī thī tez āñdhī
miTTī kā badan bikhar gayā thā