Siddique Afghani

jab khule muTThi to sab paDh len KHat-e-taqdir ko

Siddique Afghani

jab khule muTThī to sab paḌh leñ ḳhat-e-taqdīr ko
jī meñ aatā hai miTā duuñ haath kī tahrīr ko
jism sannāTe ke aalam se guzartā hī nahīñ
be-hisī ne aur aur bojhal kar diyā zanjīr ko
bahtā dariyā hai ki ā.īna-garī kā silsila
dekhtā rahtā huuñ paanī meñ tirī tasvīr ko
sub.h-e-nau ne kaaT Daale shām-e-zulmat ke hisār
kis tarah roke koī kirnoñ kī jū-e-shīr ko
dhaḌkanoñ kī chaap ruk jaa.e to aa.e niiñd bhī
saath le kar phir rahā huuñ shor-e-dār-o-gīr ko
jab ma.ānī kā ujālā hī na ho alfāz meñ
kyuuñ kareñ raushnī suḳhan kī sham-e-be-tanvīr ko
dhund saa.e ḳhauf gahrī chup havā kī be-ruḳhī
kaise aalam meñ chalā huuñ dahr kī tasḳhīr ko
apnī peshānī pe shohrat kī lakīreñ khīñch le
apne siine se lagā le katba-e-tash.hīr ko
aks ā.īne se pahle thā to phir 'siddīqī' kyuuñ
ḳhvāb se pahle na dekhā ḳhvāb kī ta.abīr ko
Top Urdushayar.com