Siddique Afghani

shahr-e-ehsas mein zaKHmon ke KHaridar bahut

Siddique Afghani

shahr-e-ehsās meñ zaḳhmoñ ke ḳharīdār bahut
haath meñ sañg uThā shīshoñ ke bāzār bahut
koī khiḌkī hai salāmat na koī darvāza
mere ghar ke sabhī kamre haiñ havā-dār bahut
haath thakte nahīñ rañgoñ ke hayūle ban kar
ahl-e-fan ko sar-e-kāġhaz ḳhat-e-pur-kār bahut
dasht meñ bhī vahī āsār haiñ ābādī ke
phailtā jaatā hai ab sāya-e-dīvār bahut
dhuup kā phuul girā shāḳh-e-shafaq se jis dam
din kā chehra nazar aatā thā shikan-dār bahut
naqsh hai zehn pe yuuñ terā tilismī paikar
maiñ huuñ ḳhud apnī nigāhoñ meñ pur-asrār bahut
lafz kirnoñ kī tarah dil meñ utar jaate haiñ
dil nashīñ hai tirā pairāya-e-iz.hār bahut
ḳhauf dushman kī tarah mere ta.āqub meñ bhī thā
ḳhanjar-e-vahm ke maiñ ne bhī sahe vaar bahut
tan ga.e itne mire gird havāoñ ke pahāḌ
saañs lenā bhī hai mere liye dushvār bahut
ab bhī lamhoñ se salāsil kī khanak aatī hai
ab bhī haiñ vaqt ke zindāñ meñ giraftār bahut
zaḳhm ke chāñd na rātoñ ko mire dil meñ utaar
mere siine pe na rakh sañg-e-girāñ-bār bahut
tīrgī aa.e na 'siddīq' ziyā ke nazdīk
kaaT rakhtī hai ye TuuTī huī talvār bahut
Top Urdushayar.com