bul-havas meñ bhī na thā vo but bhī harjā.ī na thā
phir bhī ham bahrūpiyoñ ko ḳhauf-e-rusvā.ī na thā
āñdhiyoñ ne sab miTā Daale nuqūsh-e-rah-guzār
ret ke siine pe dāġh-e-ābla-pā.ī na thā
raat ke kaale kuñ.eñ meñ chhup gayā saaya mirā
is se pahle to kabhī ye rañg-e-tanhā.ī na thā
vahm kā paikar thā āvezāñ dar-o-dīvār par
khiḌkiyoñ meñ chāñd mahv-e-jalva-ārā.ī na thā
sabz peḌoñ ke tane kaT kaT ke kyuuñ girne lage
ai havā maiñ qatl-o-ġhārat kā tamannā.ī na thā
raushnī detī thī chamkīle badan kī tāzgī
varna maiñ chehre ke ḳhāl-o-ḳhad kā shaidā.ī na thā
kyā tar-o-tāza thā āb-e-sub.h se naḳhl-e-shafaq
bujhte sūraj meñ to ye andāz-e-ra.anā.ī na thā
ek ik kirdār thā apnī adākārī meñ gum
us tamāshā-gāh meñ koī tamāshā.ī na thā
mar gayā 'siddīq' koh-e-ġham se Takkar maar kar
sar meñ saudā thā magar zauq-e-jabīñ-sā.ī na thā