havā chalī to pasīna ragoñ meñ baiTh gayā
namī kā zahr shajar kī jaḌoñ meñ baiTh gayā
udaas kyuuñ na hoñ ab tere qurb kī sub.heñ
shab-e-firāq kā Dar sā diloñ meñ baiTh gayā
abhī fazāoñ meñ barq-e-sadā hī kaundī thī
zamāna ḳhauf ke maare gharoñ meñ baiTh gayā
na kaam aa sakī a.azā kī chār-dīvārī
makāñ badan kā zamīñ kī tahoñ meñ baiTh gayā
umīd-o-bīm ke saa.e haiñ jis taraf dekhūñ
maiñ chalte chalte ye kin jañgaloñ meñ baiTh gayā
havā kā sāmnā patte ġharīb kyā karte
khaḌā daraḳht bhī tez āñdhiyoñ meñ baiTh gayā
baras paḌīñ mire sar par siyāhiyāñ 'siddīq'
sahar kā rūp-nagar zulmatoñ meñ baiTh gayā