jab dhyān meñ vo chāñd sā paikar utar gayā
tārīk shab ke siine meñ ḳhanjar utar gayā
jab sab pe band the mirī āñkhoñ ke rāste
phir kaise koī jism ke andar utar gayā
sāhil pe Dar gayā thā maiñ lahroñ ko dekh kar
jab ġhota-zan huā to samundar utar gayā
ik bhī lakīr haath pe baaqī nahīñ rahī
dast-e-talab se naqsh-e-muqaddar utar gayā
vo aa.ine ke sāmne kyā rūnumā hue
saada varaq ke rañg kā manzar utar gayā
chehre kī tez dhaar bhī bekār ho ga.ī
jab chashm-e-āb-dār se jauhar utar gayā
kis darja dil-fareb thī daane kī shakl bhī
panchhī hare shajar se zamīñ par utar gayā