Siddique Afghani

le uDe KHak bhi sahra ke parastar meri

Siddique Afghani

le uḌe ḳhaak bhī sahrā ke parastār mirī
raah takte hī rahe shahr ke bāzār mirī
tez āñdhī ne kiye mujh pe balā ke hamle
phir bhī qaa.em rahī miTTī kī ye dīvār mirī
chhup gayā thā mire jañgal meñ koī saaya sā
aaj tak us ke ta.āqub meñ hai talvār mirī
guuñj ubhregī mirī ruuh ke sannāToñ se
salb ho jā.egī jab tāqat-e-guftār mirī
TūTtī jaatī haiñ sāñsoñ kī shikasta kaḌiyāñ
phailtī jaatī hai sahrāoñ meñ jhankār mirī
kitnā be-kaif tamāshā-e-bahārāñ niklā
jab ḳhizāñ ban ke bujhī ḳhvāhish-e-iz.hār mirī
ham-safar chāñd na sūraj na sitāre nikle
tez hai gardish-e-daurāñ se bhī raftār mirī
ātish-o-āb-o-havā ḳhāk-o-ḳhalā-o-aflāk
kitne qiloñ pe ba-yak-vaqt hai yalġhār mirī
ġham zamāne meñ koī jins to 'siddīq' nahīñ
kyā ḳharīdeñge koī chiiz ḳharīdār mirī
Top Urdushayar.com