Siddique Afghani

har chand ki pyara tha main suraj ki nazar ka

Siddique Afghani

har chand ki pyārā thā maiñ sūraj kī nazar kā
phir bhī mujhe khaTkā hī rahā shab ke safar kā
uljhī hai bahut jism se dariyā kī ravānī
is chobī mahal kā koī taḳhta bhī na sar kā
Duubā huā aivān-e-shafaq bhī hai dhueñ meñ
be-rañg sā har naqsh hai dīvār-e-sahar kā
riste hue nāsūr pe chalte rahe nashtar
taaza hī rahā phuul sadā zaḳhm-e-hunar kā
maiñ huuñ ki kaḌī dhuup ke sahrā meñ ghirā huuñ
saaya kahīñ miltā hī nahīñ shāḳh-e-shajar kā
mazlūm thā maiñ kal bhī to mahrūm huuñ ab bhī
unvān badaltā hī nahīñ merī ḳhabar kā
bijlī to sunā hai kahīñ jañgal meñ girī thī
utrā huā chehra hai chaman meñ gul-e-tar kā
tab barf ke mahtāb se phūTeñgī shuā.eñ
bujh jā.egā jab sho.ala mire dāġh-e-jigar kā
ā.īna shikasta huā chubhne lagīñ palkeñ
nazzāra bhī dekhā na gayā rūp-nagar kā
aaseb ho sarsar ho balā ho ki qazā ho
sab ke liye darvāza khulā hai mire ghar kā
uḌtī hī rahī ḳhāk-e-badan tez havā meñ
ehsān ye kuchh kam to nahīñ barq-o-sharar kā
miT jā.eñgī peshānī-e-marmar se lakīreñ
ab rañg utar jā.egā tā.ūs ke par kā
ḳhushiyoñ kā chamak-dār hiran haath na aayā
pīchhā kyā aahoñ ne bahut jazb-o-asar kā
kis tarah mayassar ho mujhe arsa-e-rāhat
har lahza na.ī choT nayā ġham nayā charkā
'siddīq' jinheñ rāh-e-vafā maiñ ne sujhā.ī
patthar vahī kahte haiñ mujhe rāhguzar kā
Top Urdushayar.com