Manzar Lakhnavi

be-KHud aisa kiya KHauf-e-shab-e-tanhai ne

Manzar Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

-1965
be-ḳhud aisā kiyā ḳhauf-e-shab-e-tanhā.ī ne
subah se sham.a jalā dī tire saudā.ī ne
hasb-e-manshā dil-e-pur-shauq kī bātoñ kā javāb
de diyā sharm meñ Duubī huī añgḌā.ī ne
hū kā aalam huā us samt ko uḌne lagī ḳhaak
jis taraf ġhaur se dekhā tire saudā.ī ne
qatl par mere bahā.e na kisī ne aañsū
daad qātil ko dī ik ek tamāshā.ī ne
pūchhne vaale bharī bazm meñ qātil ko na pūchh
naam terā hī agar le diyā saudā.ī ne
māñgtā huuñ dar-o-dīvār se bātoñ kā javāb
aisā dīvāna kiyā hai ġham-e-tanhā.ī ne
hijr kī rātoñ meñ 'manzar' mire kaam aa aa ke
le liyā mol charāġh-e-shab-e-tanhā.ī ne
Top Urdushayar.com