sahar ko dhund kā ḳhema jalā thā
hayūlā kohar ke andar chhupā thā
makāñ jismoñ kī ḳhushbū se thā ḳhālī
magar sāyoñ se āñgan bhar gayā thā
jalī hiddat se nam-ālūd miTTī
koī sūraj zamīñ meñ dhañs gayā thā
ḳhamoshī kī ghuTan se chīḳh uTThā
mirā gumbad bhī sahrā kī sadā thā
ubhar aa.ī thī dariyāoñ meñ ḳhushkī
magar Dhalvān par paanī khaḌā thā
uḌā thā maiñ havāoñ ke sahāre
rukī āñdhī to nīche gir paḌā thā
bhayānak thā mire andar kā insāñ
maiñ us ko dekh kar kitnā Darā thā
lahū 'siddīq' ab tak bah rahā hai
kabhī ik phuul māthe par lagā thā