Waliullah wali

be-niyaz naghma-e-duniya hun main

Waliullah wali

Vaishali, Bihar, India

1967
be-niyāz naġhma-e-duniyā huuñ maiñ
apne dil kī dhaḌkaneñ suntā huuñ maiñ
vādī-e-qirtās meñ bahtā huuñ maiñ
ābshār-e-fikr kā dariyā huuñ maiñ
dīda-e-be-ḳhvāb anjum kī tarah
rut koī ho jāgtā rahtā huuñ maiñ
ā.īne ke rū-ba-rū hairān huuñ
jaane kis kā gum-shuda chehra huuñ maiñ
sar-bulandī kyuuñ na ho mujh ko atā
apne sar maañ kī duā rakhtā huuñ maiñ
jaane kyuuñ ḳhud bhī nigāhoñ kī tarah
un kī rāhoñ meñ bichhā jaatā huuñ maiñ
vo mujhe bahlā rahe haiñ yuuñ 'valī'
jaise koī nā-samajh bachcha huuñ maiñ
Top Urdushayar.com