haqīqat hai ki nanhā sā diyā huuñ
magar har haal meñ jaltā rahā huuñ
jamāl-e-sub.h se nā-āshnā huuñ
kisī tārīk shab kī bad-duā huuñ
vo aisā chhā gayā hai zehn-o-dil par
jidhar dekhūñ usī ko dekhtā huuñ
koī to DhūñD kar mujh ko nikāle
maiñ apne shahr-e-jāñ meñ kho gayā huuñ
jo hai tamsīl-e-husn-e-pārsā.ī
'valī' maiñ aisā riñd-e-pārsā huuñ