hai qānūn-e-fitrat koī kyā karegā
jo hotā hai duniyā meñ ho kar rahegā
na neze pe jab tak tirā sar chaḌhegā
tire sar ko sar koī kaise kahegā
maiñ anjām-e-haq-goī se bā ḳhabar huuñ
pata hai ki ik din mirā sar kaTegā
vahī roTiyāñ jin se chhīnī ga.ī haiñ
agar uTh khaḌe hoñ to kaisā rahegā
tirā husn hai shola-e-āsmānī
koī us se āḳhir kahāñ tak bachegā
yaqīnan kahīñ aaj bijlī giregī
yaqīnan koī āshiyāna jalegā
ye dard-e-mohabbat hai mere masīhā
davā se na koī duā se ghaTegā
mohabbat kī qismat meñ āvārgī hai
kahāñ tak koī us ke pīchhe paḌegā
'valī' jo hai nā-āshna-e-mohabbat
mire dil kī dhaḌkan vo kyuuñ kar sunegā