Waliullah wali

aap ki nazron mein shayad is liye achchha hun main

Waliullah wali

Vaishali, Bihar, India

1967
aap kī nazroñ meñ shāyad is liye achchhā huuñ maiñ
dekhtā suntā huuñ sab kuchh phir bhī chup rahtā huuñ maiñ
is liye mujh se ḳhafā rahtī hai aksar ye zamīñ
āsmāñ ko sar pe le kar ghūmtā phirtā huuñ maiñ
ḳhaak meñ milnā hī ashkoñ kā muqaddar hai magar
kyā ye kam hai us kī palkoñ par abhī Thahrā huuñ maiñ
ḳhaar hī ko ho mubārak ḳhaar kī umr-e-darāz
gul-sifat huuñ bas javāñ hote hī mar jaatā huuñ maiñ
bādaloñ ko shāyad is kā koī andāza nahīñ
ain dariyā meñ huuñ lekin kis qadar pyāsā huuñ maiñ
ġham-zada dil ko sitam se duur rakhne ke liye
bārhā ḳhud apne hī dil par sitam Dhātā huuñ maiñ
kyuuñ vo mere sāmne aane se Dartā hai 'valī'
ḳhāmushī fitrat hai merī ek ā.īna huuñ maiñ
Top Urdushayar.com