kal talak jo thā tasavvur anjuman-ārā.iyoñ kā
vo muqaddar ban gayā hai ab mirī tanhā.iyoñ kā
zindagānī phir bikharne TūTne vaalī hai shāyad
ai zamīñ phir aa gayā mausam tirī añgḌā.iyoñ kā
is jahāñ meñ aaj jis ke sar pe tāj-e-khusravī hai
saarā qissa bas isī ke naam hai dānā.iyoñ kā
aadmī mujh ko banāyā hai unhī rusvā.iyoñ ne
hai azal se saath merā aur mirī rusvā.iyoñ kā
ai 'valī' rishta samundar se hai dil kā kuchh yaqīnan
koī andāza lagā paayā na un gahrā.iyoñ kā