Waliullah wali

kabhi jab dastan-e-gardish-e-ayyam likhta hun

Waliullah wali

Vaishali, Bihar, India

1967
kabhī jab dāstān-e-gardish-e-ayyām likhtā huuñ
to phir unvān kī sūrat meñ apnā naam likhtā huuñ
kabhī āġhāz likhtā huuñ kabhī anjām likhtā huuñ
asīrān-e-mohabbat kī jo sub.h-o-shām likhtā huuñ
jalāne lagtī hai jab shiddat-e-tishna-labī mujh ko
tirī āñkhoñ ko mai-ḳhāna nazar ko jaam likhtā huuñ
kisī par kis liye tohmat rakhūñ ḳhāna-ḳharābī kī
maiñ apne naam barbādī ke sab ilzām likhtā huuñ
mohabbat ke taqaddus ko kabhī pāmāl mat karnā
mohabbat kā yahī paiġhām sab ke naam likhtā huuñ
muḳhātab hone lagtī hai ḳhud apnī zindagī mujh se
'valī' jab bhī maiñ sharah-e-gardish-e-ayyām likhtā huuñ
Top Urdushayar.com