koī apne vāste mahshar uThā kar le gayā
yaanī mere ḳhvāb kā manzar uThā kar le gayā
zaḳhm-ḳhurda thā yaqīnan koī ḳhushbū-āshnā
jo lagā thā sar pe vo patthar uThā kar le gayā
gosha gosha ā.ina-ḳhāna nazar aayā mujhe
ḳhud ko jab bāhar se maiñ andar uThā kar le gayā
kyuuñ sarāboñ ko samajhtā hai vo bahr-e-be-karāñ
kyuuñ vo merī zaat kā paikar uThā kar le gayā
kuchh na kuchh le kar hī kuchh detī hai duniyā is liye
ḳhud-ġharaz duniyā se maiñ daftar uThā kar le gayā
maiñ to sañg-e-mīl huuñ har rāh-rau ke vāste
kyā milegā koī mujh ko gar uThā kar le gayā
atlas-o-kam-ḳhvāb meñ malbūs thā jis kā badan
kyuuñ mirī mailī sī vo chādar uThā kar le gayā
kal talak jo kah rahā thā mere fan ko rā.egāñ
aaj vo merā ġhazal-sāgar uThā kar le gayā
kis ne mujh ko anjuman meñ kar diyā tanhā 'valī'
kaun merī fikr kā mehvar uThā kar le gayā