na dekheñ kamtarī ab kamtaroñ kī
isī meñ behtarī hai behtaroñ kī
karo tum laakh ārā.ish gharoñ kī
zarūrat kam na hogī maqbaroñ kī
yahāñ thak jaa.e na neza tumhārā
mirī bastī hai bastī ḳhud-suroñ kī
siyāsat ne paḌhā rahzan kā kalma
baḌī zillat huī hai rahbaroñ kī
chaman ko ye nayā mausam mubārak
uḌegī fāḳhta ab be-paroñ kī
ḳhudā rakkhe dil-e-īzā-talab ko
zabāñ chaltī rahegī nashtaroñ kī
ḳhushā qātil kī shān-e-shahr-yārī
manā.eñ ḳhair ham apne saroñ kī
nazar aatā nahīñ apnā garebāñ
burā.ī kar rahe haiñ dūsroñ kī
'valī' jī pīr-e-mai-ḳhāna bane haiñ
ināyat hai ġhazal ke dilbaroñ kī