sajda-e-yād meñ sar apnā jhukāyā huā hai
ham ne ushshāq ke rutbe ko baḌhāyā huā hai
tohmateñ hoñ yā ki patthar hoñ muqaddar us kā
ek dīvāna tire shahr meñ aayā huā hai
merā maqsad thā faqat ḳhaak uḌānā sāhab
is liye dasht ko ghar-bār banāyā huā hai
shaukat-e-majlis-e-hijrāñ ko baḌhānā thā so yaar
maiñ ne palkoñ pe tirā hijr sajāyā huā hai
ik parī-zād hai dhaḌkan ke ilāqe meñ muqīm
jis ne māhaul ko pur-vajd banāyā huā hai
paañv meñ Daal ke tujh naam ke ghuñgrū ham ne
apne andar hī miyāñ raqs rachāyā huā hai
yaar kī sohbat-e-pur-faiz kī barkat ne 'sa.īd'
is zamāne meñ mirā kaam chalāyā huā hai