hālat-e-hāl maiñ kyā ro ke sunā.ūñ tujh ko
tū nazar aa.e to palkoñ pe biThā.ūñ tujh ko
ḳhud ko is hosh meñ mad.hosh banāne ke liye
āyat-e-husn paḌhūñ dekhtā jā.ūñ tujh ko
tū nahīñ māntā miTTī kā dhuāñ ho jaanā
to abhī raqs karūñ ho ke dikhā.ūñ tujh ko
kar liyā ek mohabbat pe guzārā maiñ ne
chāhtā thā ki maiñ puurā bhī to aa.uuñ tujh ko
ab mirā ishq dhamāloñ se kahīñ aage hai
ab zarūrī hai ki maiñ vajd meñ lā.ūñ tujh ko
kyuuñ kisī aur kī āñkhoñ kā qasīda likkhūñ
kyuuñ kisī aur kī mid.hat se jalā.ūñ tujh ko
ain mumkin hai tire ishq meñ zam ho jā.ūñ
aur phir dhyān kī jannat meñ na lā.ūñ tujh ko
us ne ik baar mujhe pyaar se bolā thā 'sa.īd'
merā dil hai kabhī siine se lagā.ūñ tujh ko