ālam-e-vajd se iqrār meñ aatā huā maiñ
qissa-e-dard banā ḳhvāb sunātā huā maiñ
mansab-e-dār pe aayā huuñ baḌī shaan ke saath
hākim-e-shahr tire hosh uḌātā huā maiñ
zindagī hijr hai aur hijr bhī aisā hai ki bas
saañs tak haar chukā vasl kamātā huā maiñ
chāndnī raat meñ dariyā sī ravāñ yaad ke saath
kaif o mastī meñ chalā jhūmtā gaatā huā maiñ
yaar dekho to kabhī mausam-e-hijrāñ meñ idhar
ḳhaak hotā huuñ yahāñ dasht sajātā huā maiñ
shāḳh-e-imkāñ se tirī yaad kī mahkār chunūñ
ek bhañvrā sā tirī or ko jaatā huā maiñ
halqa-e-sher se guzrūñgā mohabbat meñ 'sa.īd'
dil ke jazbāt ko alfāz meñ laatā huā maiñ