ḳhvāb-zada vīrānoñ tak
pahuñchī niiñd Thikānoñ tak
āvāzoñ ke dariyā meñ
ġharq hue ham shānoñ tak
baaġh asāsa hai apnā
vo bhī zard zamānoñ tak
bench pe phailī ḳhāmoshī
pahuñchī peḌ ke kānoñ tak
ishq-ibādat karte log
jāgeñ roz azānoñ tak
kirneñ milne aatī haiñ
ghar ke raushan-dānoñ tak
zard udāsī chhā.ī hai
khetoñ se khaliyānoñ tak