pahle vo achānak nazar aayā use dekhā
phir dil ne kiyā aur taqāzā use dekhā
vo husn baḌī der rahā sāmne mere
phir maiñ ne miyāñ jis tarah chāhā use dekhā
vo pal to mirī aañkh se jaatā hī nahīñ hai
ik roz darīche se maiñ jhāñkā use dekhā
vo husn ke meyār pe puurā thā bahar-taur
dekhā hī nahīñ koī bhī jaisā use dekhā
ik shaam vo kuchh aisā khulā aisā khulā bas
jaisā maiñ samajhtā thā so vaisā use dekhā
dariyā sā samundar meñ utarne ko thā betāb
utrā use dekhā jo vo Duubā use dekhā
chhāyā hai ḳhayāloñ meñ 'sa.īd' aisā koī shaḳhs
lagtā hai ki jis ne mujhe dekhā use dekhā