inkār kī lazzat se na iqrār-e-junūñ se
ye hijr khulā mujh pe kisī aur fusūñ se
ye jaan chalī jaa.e magar aañch na aa.e
ādāb-e-mohabbat pe kisī harf-e-junūñ se
ujlat meñ nahīñ hogī tilāvat tire ruḳh kī
aa baiTh mire paas zarā der sukūñ se
ai yaar koī bol mohabbat se bharā bol
kyā samjhūñ bhalā maiñ tirī haañ se tirī huuñ se
dīvār kā saaya to mujhe mil nahīñ paayā
baiThā huuñ tirī yaad meñ ab lag ke sutūñ se
tujh se to mirī ruuh kā bandhan thā mire yaar
anjān rahā tū bhī mire hāl-e-darūñ se