Mubashshir Saeed

kab meri halqa-e-wahshat se rihai hui hai

Mubashshir Saeed

Multan, Punjab, Pakistan

1983
kab mirī halqa-e-vahshat se rihā.ī huī hai
dil ne ik aur bhī zanjīr banā.ī huī hai
aur kyā hai mire dāman meñ mohabbat ke sivā
yahī daulat mirī mehnat se kamā.ī huī hai
ishq meñ jur.at-e-tafrīq nahīñ qais ko bhī
tū ne kyuuñ dasht meñ dīvār uThā.ī huī hai
terī sūrat jo maiñ dekhūñ to gumāñ hotā hai
to koī nazm hai jo vajd meñ aa.ī huī hai
ik parī-zād ke yādoñ meñ utar aane se
zindagī vasl kī bārish meñ nahā.ī huī hai
apnī miTTī se mohabbat hai mohabbat hai mujhe
isī miTTī ne mirī shaan baḌhā.ī huī hai
sāmne baiTh ke dekhā thā use vasl kī raat
aur vo raat hī āsāb pe chhā.ī huī hai
tum ga.e ho ye vatan chhoḌ ke jis din se 'sa.īd'
ik udāsī dar o dīvār pe chhā.ī huī hai
Top Urdushayar.com