Ashraf Shad

nikli wo zindagi se to pamal ho gaya

Ashraf Shad

Moradabad, Uttar pradesh, India

1949
niklī vo zindagī se to pāmāl ho gayā
jaise ruvāñ ruvāñ mirā kañgāl ho gayā
bigḌā huā hai hijr meñ kuchh vaqt kā nizām
lamha guzar na paayā ki ik saal ho gayā
mushkil hai ye hisāb ka.ī hijratoñ ke ba.ad
achchhā hai merā haal ki bad-hāl ho gayā
bas yuuñ hī ik ġhazal sī use dekh kar huī
phir is ke ba.ad pyaar kā janjāl ho gayā
maiñ jab gulāb chuum rahā thā to dekh kar
chehra kisī kā sharam se kyuuñ laal ho gayā
Top Urdushayar.com