un se milā to phir maiñ kisī kā nahīñ rahā
aur jab bichhaḌ gayā to ḳhud apnā nahīñ rahā
dīvār TūTne kā ajab silsila chalā
sāyoñ ke sar pe ab koī saaya nahīñ rahā
har ik makāñ se naam kī taḳhtī utar ga.ī
dil kī fasīl pe koī pahra nahīñ rahā
rahbar badal ga.e kabhī rahzan badal ga.e
aur ham-safar bhī koī purānā nahīñ rahā
ab us ke husn meñ vo karishme nahīñ rahe
taalī to baj rahī hai tamāsha nahīñ rahā
shāyad paḌos meñ kahīñ bijlī girī hai aaj
dekho hamāre ghar meñ añdherā nahīñ rahā
dīmak lagī huī hai salīboñ pe shaad ab
rasm-e-junūñ nibāhane vaalā nahīñ rahā