Ashraf Shad

chand taron se bhara ye aasman de jaunga

Ashraf Shad

Moradabad, Uttar pradesh, India

1949
chāñd tāroñ se bharā ye āsmāñ de jā.ūñgā
ḳhud rahūñgā dhuup meñ aur sā.ebāñ de jā.ūñgā
mere achchhe ham-safar tujh ko bhī maiñ jaate hue
raah se bhaTkā huā ik kārvāñ de jā.ūñgā
haiñ zuleḳhā.eñ bahut koī bhī yūsuf ho to maiñ
misr ke bāzār meñ us ko dukāñ de jā.ūñgā
jis ne toḌā dil mirā aur ḳhvāb kirchī kar diye
us ko shīshe kā banā maiñ ik makāñ de jā.ūñgā
mere sāhil par rukeñgī jis nazar kī kashtiyāñ
us kī palkoñ ko nayā ik bādbāñ de jā.ūñgā
dushmanoñ ke sāmne to be-ḳhatar jā.ūñgā 'shād'
tiir un ke toḌ kar phir ik kamāñ de jā.ūñgā
Top Urdushayar.com