thiiñ zamīneñ gum-shuda aur āsmāñ miltā na thā
sar pe sūraj thā mire par sā.ebāñ miltā na thā
be-natīja hī rahī hai har safar kī justujū
DhūñDne nikle the jis ko vo jahāñ miltā na thā
manzileñ āsān thiiñ aur rāste maḳhdūsh the
kashtiyāñ maujūd thiiñ par bādbāñ miltā na thā
ghoñsle ḳhālī paḌe haiñ aur vahīñ par aas paas
kuchh parinde the ki jin ko āshiyāñ miltā na thā
gardish-e-daurāñ mujhe phir ab vahīñ le aa.ī hai
shahr jo merā thā lekin ham-zabāñ miltā na thā