Yaqoob Tasawwur

musafiron ke ye wahm-o-guman mein tha hi nahin

Yaqoob Tasawwur

Lucknow, Uttar pradesh, India

1945
musāfiroñ ke ye vahm-o-gumāñ meñ thā hī nahīñ
ki rāhbar to koī kārvāñ meñ thā hī nahīñ
savāl ye hai ki phir aag lag ga.ī kaise
koī diyā to añdhere makāñ meñ thā hī nahīñ
uThā liye ga.e hathiyār phir tahaffuz ko
ki shahr-e-amn meñ koī amaañ meñ thā hī nahīñ
to lāzima use aanā thā is zamīñ par hī
ki aadmī kā guzar āsmāñ meñ thā hī nahīñ
sunā.ī maiñ ne to mujh se ḳhafā hue kyuuñ log
kisī kā naam mirī dāstāñ meñ thā hī nahīñ
to kis sabab se ġhalat-fahmiyāñ huiiñ paidā
ba-juz havā to koī darmiyāñ meñ thā hī nahīñ
vo jis se shahr-e-'tasavvur' meñ raushnī hotī
sitāra aisā koī āsmāñ meñ thā hī nahīñ
Top Urdushayar.com