diloñ meñ dard hī utnā kashīd rakkhā hai
ki aañkh aañkh ne aañsū kashīd rakkhā hai
qitāl zulm-o-tashaddud fasād aag dhuāñ
hamāre shahr meñ ab kyā mazīd rakkhā hai
na jis se hall-e-masā.il kī raah nikle koī
usī kā naam to guft-o-shunīd rakkhā hai
uḌī hai jab se parindoñ kī vāpsī kī ḳhabar
har ek shaḳhs ne piñjra ḳharīd rakkhā hai
batā rahe haiñ 'tasavvur' ye shahr ke hālāt
kisī kī pusht pe dast-e-yazīd rakkhā hai