Nasir Amrohvi

tumhaare sine mein dil ke jaisa jo ek patthar dhaDak raha hai

Nasir Amrohvi

Amroha, Uttar pradesh, India

1985
tumhāre siine meñ dil ke jaisā jo ek patthar dhaḌak rahā hai
vo ek patthar na jaane kitne diloñ kā markaz banā huā hai
ye chāñd se bhī hasīn-tar hai jo chāñd jaisā chamak rahā hai
firāq kī shab meñ āsmāñ par tumhārā chehrā Tañgā huā hai
dil-e-shikasta ke hausloñ ne har ek manzil ko sar kiyā hai
tumhāre dar tak bhī aan pahuñche par is se aage bhī rāsta hai
saḌak pe baiThe hue qalandar ke sar paḌe haiñ savāl kitne
zamāna us se jo pūchhtā hai vo us ne mujh ko batā diyā hai
tumhārī mahfil meñ aane vaale unhī mohabbat ke dushmanoñ ne
tumhārā merā jo vāqi.a thā use fasāna banā rakhā hai
ḳhulūs-e-yārāñ kī qadr lekin ḳhulūs-e-yārāñ kā fā.eda kyā
maiñ in dilāsoñ kā kyā karūñgā ki dard merā bahut baḌā hai
tumhārī yādoñ ke chaḌhte dariyā ko ḳhushk-sālī se kyā ta.alluq
tumhārī yādoñ kā chaḌhtā dariyā har ek mausam meñ bah rahā hai
Top Urdushayar.com